Shri Sanatan Dharam Pratinidhi Sabha emblemShri Sanatan DharamPratinidhi Sabha

Maa Shakumbhari Devi Chalisa

Doha

Daahine Bheemaa Braamari apni chhavi dikhaae, Baain or satchi netron ko chain divlaae. Bhoor dev mahaaraani ke sevak pahredaar, Maan Shaakambhari Devi ki jai-jai mai jaikaar.

Chaupai

Jai jai Shri Shaakambhari Maataa, Har koi tumko sheesh navtaa.

Ganpati sadaa paas men rahte, Vighna aur badhaa har lete.

Hanumaan paas balshaali, Agyaa tunri kabhi naa taali.

Muni Vyaas ne kahi kahaani, Devi Bhaagvat kathaa bakhaani.

Chhavi aapki badi niraali, Badhaa apne par le daali.

Aankhon men aa jaataa paani, Aisi kripaa kari Bhavaani.

Ruru daitya ne dhyaayaa, Var men sundar putraa thaa paayaa.

Durgam naam padaa thaa uskaa, Achchhaa karma nahin thaa jiskaa.

Bachpan se thaa vo abhimaani, Kartaa rahtaa thaa manmaani.

Yauvan ki jab paai avasthaa, Saari todi dharma vyavasthaa.

Sochaa ek din Ved chhupaa loon, Har brahmavad ko daas banaa loon.

Devi devataa ghabraae, Meri sharan men hi aaenge.

Vishnu Shiv ko chhodaa usne, Brahmaaji ko dhyaayaa usne.

Bhojan chhodaa phal naa khaayaa, Vaayu peekar aanand paayaa.

Jab Brahmaa kaa darshan paayaa, Sant bhaav ho vachan sunaayaa.

Chaaron Ved bhakti men chaahoon, Mahimaa men jinki phailoon.

Bad Brahmaa vaar de daalaa, Chaaron Ved ko usne sambhaalaa.

Paai usne amar nishaani, Huaa prasann paakar abhimaani.

Jaise hi vaar paakar aayaa, Apnaa asli roop dikhaayaa.

Dharma dhvajaa ko lagaa mitaane, Apni shakti lagaa badhaane.

Binaa Ved rishi muni the dole, Prithvi khaane lagi hichkole.

Ambaar ne barsaae shole, Sab traahi traahi the bole.

Saagar nadi kaa sookhaa paani, Kalaa dal dal kahe kahaani.

Patte bhi jhadkar girte the, Pashu aur pakshi marte the.

Sooraj patan jalti jaae, Peene kaa jal koi naa paae.

Chandaa ne seetltaa chhodi, Samaae ne bhi maryaadaa todi.

Sabhi dishaaen the matiyaali, Bikhar gai poojaa ki thaali.

Binaa Ved sab brahmavad roe, Durbal nirdhan dukh men khoe.

Binaa granth ke kaise poojan, Tadap rahaa thaa sabkaa hi maan.

Dukhi devataa dhyaanu lagaayaa, Vinti sun pragati Mahaamaayaa.

Maan ne adbhut darsh dikhaayaa, Sab netron se jal barsaayaa.

Har ang se jharnaa bahaayaa, Shataakshi shubh naam dharaayaa.

Ek haath men anna bharaa thaa, Phal bhi dooje haath dhaaraa thaa.

Teesre haath men teer dhaar liyaa, Chauthe haath men dhanush kar liyaa.

Durgam raakshas ko phir maaraa, Is bhoomi kaa bhaar utaaraa.

Nadiyon ko kar diyaa samandar, Lage phool phal baag ke andar.

Haare bhare khet lahraai, Ved shastraa saare lautaae.

Mandiron men goonji shankh vaadi, Harshit hue muni jaan badi.

Anna dhan saak ko dene vaali, Shaakambhari Devi balshaali.

Nau din khadi rahi mahaaraani, Saharanpur jangal men nishaani.

Doha

Shaakambhari Devi ki mahimaa aparampaar, Om inhin ko bhaj rahaa hai saaraa sansaar.

Have a query? Chat with us on WhatsApp