Shri Sanatan Dharam Pratinidhi Sabha emblemShri Sanatan DharamPratinidhi Sabha

Ravidas Chalisa

Doha

Bandaun veenaa paani ko, dehu mohin aay gyaan, Paay buddhi Ravidaas ko, karaun charitra bakhaan. Maatu ki mahimaa amit hai, likhi na sakat hai daas, Taate aayo sharan men, puravahun jan ki aas.

Chaupai

Jai hovai Ravidaas tumhaari, Kripaa karahu harijan hitkaari.

Raahu bhakt tumhaare taataa, Karmaa naam tumhaari maataa.

Kaashi dhing maadur sthaanaa, Varn achhoot karat gujraanaa.

Dwaadash varsh umra jab aai, Tumhre man Hari bhakti samaai.

Raamaanand ke shishya kahaaye, Paay gyaan nij naam badhaaye.

Shaastra tark Kaashi men keenhon, Gyaanin ko updesh hai deenhon.

Gang maatu ke bhakt apaaraa, Kaudi deenh unahin upahaaraa.

Pandit jan taako lai jaai, Gang maatu ko deenh chadhaai.

Haath pasaari leenh chaingaani, Bhakt ki mahimaa amit bakhaani.

Chakit bhaye pandit Kaashi ke, Dekhi charit bhav bhaynaashi ke.

Ratna jatit kangan tab deenhaa, Ravidaas adhikaari keenhaa.

Pandit deejau bhakt ko mere, Aadi janm ke jo hain chere.

Pahunche pandit dhig Ravidaasaa, Dai kangan purai abhilaashaa.

Tab Ravidaas kahi yah baataa, Doosar kangan laavahu taataa.

Pandit jab tab kasam uthaai, Doosar deenh na Gangaa maai.

Tab Ravidaas ne vachan uchaare, Pandit jan sab bhaye sukhaare.

Jo sarvadaa rahai man changaa, Tau ghar basati maatu hai Gangaa.

Haath kathauti men tab daaraa, Doosar kangan ek nikaaraa.

Chit sankochit pandit keenhen, Apne apne maarag leenhen.

Tab se prachalit ek prasangaa, Man changaa to kathauti men Gangaa.

Ek baar phiri paryo jhamelaa, Mili panditjan keenho khelaa.

Saaligraam gang utraavai, Soi prabal bhakt kahlaavai.

Sab jan gaye gang ke teeraa, Moorati tairaavan bich neeraa.

Doob gai sabki majhdhaaraa, Sabke man bhayo dukh apaaraa.

Patthar ki moorti rahi utraai, Sur nar mili jaikaar machaai.

Rahyo naam Ravidaas tumhaaraa, Machyo nagar mahan haahaakaaraa.

Cheeri deh tum dugdh bahaayo, Janam janeu aap dikhaao.

Dekhi chakit bhaye sab nar naari, Vidwaanan sudhi bisari saari.

Gyaan tark Kabiraa sang keenhon, Chakit unahun kaa tuk kari deenhon.

Guru Gorakhahin deenh updeshaa, Un maanyo tinaki sant visheshaa.

Sadnaa peer tark bahu keenhaa, Tum taako updesh hai deenhaa.

Man mahi haaryo sadan kasaai, Jo Dilli men khabari sunaai.

Muslim dharma ki suni kubdaai, Lodhi Sikandar gayo gussaai.

Apne grih tab tumahin bulaavaa, Muslim hon hetu samujhaavaa.

Maani nahin tum uski baani, Bandeegrih kaati hai raani.

Krishna darash paaye Ravidaasaa, Saphal bhai tumhri sab aashaa.

Taale tooti khulyo hai kaaraa, Naam Sikandar ke tum maaraa.

Kaashi pur tum kahan pahunchaai, Dai bhootaa amaan badaai.

Meeraa yogaavati guru keenhon, Jinko kshatriya vansh praveeno.

Tinko dai updesh apaaraa, Keenhon bhav se tum nistaaraa.

Doha

Aise hi Ravidaas ne, keenhen charit apaar, Koi kavi gaavai kitai, tahoon na paavai paar. Niyam sahit harijan agar, dhyaan dharai chaalisaa, Taaki rakshaa karenge, jagatpati jagdeeshaa.

Have a query? Chat with us on WhatsApp