Shri Lakshmi Chalisa
Doha
Maatu Lakshmi kari kripa, karo hriday mein vaas, Manokaamna sidgh kari, purvahu meri aas.
Soratha
Yahi mor ardaas, haath jod vinati karoon, Sab vidhi karau suvaas, jai janani jagadambika.
Chaupai
Sindhu suta main sumirau tohi, Gyaan budghi vigha do mohi.
Tum samaan nahin koi upkaari, Sab vidhi purvahu aas hamaari.
Jai jai jagat janani Jagadamba, Sabki tum hi ho avalamba. (1)
Tum hi ho sab ghat ghat vaasi, Vinati yahi hamaari khaasi.
Jagajanani jai Sindhu kumaari, Deenan ki tum ho hitkaari. (2)
Vinavaun nitya tumhin mahaaraani, Kripa karau jag janani Bhavaani.
Kehi vidhi stuti karaun tihaari, Sudhi leeje apraadh bisaari. (3)
Kripa drishti chitvavo mam ori, Jagajanani vinati sun mori.
Gyaan budghi jai sukh ki daata, Sankat haro hamaari maata. (4)
Ksheersindhu jab Vishnu mathaayo, Chaudah ratna sindhu mein paayo.
Chaudah ratna mein tum sukhraasi, Seva kiyo prabhu bani daasi. (5)
Jab jab janm jahaan prabhu leenha, Roop badal tahan seva keenha.
Swayan Vishnu jab nar tanu dhaara, Leenheu Awadhpuri avataara. (6)
Tab tum pragat Janakpur maahin, Seva kiyo hriday pulkaahin.
Apnaaya tohi antaryaami, Vishwa vidit tribhuvan ki swaami. (7)
Tum sam prabal shakti nahin aani, Kahan lau mahima kahaun bakhaani.
Man kram vachan karai sevkaai, Man ichchhit vaanchhit phal paai. (8)
Taji chhal kapat aur chaturaai, Poojahin vividh bhaanti manlaai.
Aur haal mein kahaun bujhaai, Jo yah paath karai man laai. (9)
Taako koi kasht na hoi, Man ichchhit paavai phal soi.
Traahi traahi jai dukh nivaaran, Trividh taap bhav bandhan haarani. (10)
Jo chaalisa padhai padhaavai, Dhyaan lagaakar sunai sunaavai.
Taakau koi na rog sataavai, Putra aadi dhan sampati paavai. (11)
Putraheen aru sampati heena, Andh badhir kodhi ati deena.
Vipra bolaay kai paath karaavai, Shanka dil mein kabhi na laavai. (12)
Paath karaavai din chaalisa, Ta par kripa karain Gaureesa.
Sukh sampati bahut si paavai, Kami nahin kaahu ki aavai. (13)
Baarah maas karai jo pooja, Tehi sam dhanya aur nahin dooja.
Pratidin paath karai man maahi, Un sam koi jag mein kahun naahin. (14)
Bahuvidhi kya main karaun badaai, Ley pareeksha dhyaan lagaai.
Kari vishwaas karai vrat nema, Hoy sidgh upjai ur prema. (15)
Jai jai jai Lakshmi Bhavaani, Sab mein vyaapit ho gun khaani.
Tumharo tej prabal jag maahin, Tum sam kou dayaalu kahun naahin. (16)
Mohi anaath ki sudhi ab leeje, Sankat kaati bhakti mohi deeje.
Bhool chook kari kshama hamaari, Darshan daje dasha nihaari. (17)
Bin darshan vyaakul adhikaari, Tumhin achhat dukh sahte bhaari.
Nahin mohin gyaan budghi hai tan mein, Sab jaanat ho apne man mein. (18)
Roop chaturbhuj karke dhaaran, Kasht mor ab karahu nivaaran.
Kehi prakaar main karaun badaai, Gyaan budghi mohi nahin adhikaai. (19)
Doha
Traahi traahi dukh haarini, haro vegi sab traas, Jayati jayati jai Lakshmi, karo shatru ko naash.
Ramdaas dhari dhyaan nit, vinay karat kar jor, Maatu Lakshmi daas par, karahu daya ki kor.
