Maa Brajeshwari Devi Chalisa
Doha
Shakti peeth shubh Kaangdaa, Brajeshwari shubh dhaam, Brahmaa Vishnu aur Shiv karte tumhen pranaam. Dhyaanu bhaav maan aapkaa jyoti akhand swaroop, Teen lok ke praanon ko dete chhaayaa dhoop.
Chaupai
Jai jai Gauri Kaangde vaao, Brajeshwari Ambaa Mahaakaali.
Sati roop kaa ansh liyaa hai, Naagarkot men vaaz kiyaa hai.
Pindi roop shubh darshan bhaari, Chaandi aasan chhavi hai nyaari.
Ghantaa dhuaani dwaar baaje, Dhol daf damroo sang gaaje.
Raajaa Jagat Singh swapna dikhaayaa, Kankhal kaa itihaas bataayaa.
Mamataamayi sab bhaav dikhaayaa, Parvat vaalaa kshetraa bataayaa.
Sabhi devataa poojan aae, Langar Bhairo aanand paae.
Dwaare sinh aa pahraa detaa, Sher kaa panjaa dukh har letaa.
Mangal aarti pandit karte, Jisse vighna saare hain hatte.
Dhyaanu bhakt ne sheesh chadhaayaa, Darshan dekar sheesh milaayaa.
Aas paas mandir hain pyaare, Jinke darshan bhaagya sanvare.
Daain or hai Taaraa mandir, Bhoochaal men rahaa vahin par.
Aisi hai maan chhavi tihari, Naagarkot ki vipad nivaari.
Chamatkaar kitne maan dikhaae, Bhaaratvaasi poojan aae.
Raajaa Maansingh bhakt banaayaa, Malin hokar roop dikhaayaa.
Mugal baadshaah tumko maataa maanaa, Mahimaa ko tunri pahchaanaa.
Senaa lekar jab bhi aayaa, Bhakti dekh man ghabraayaa.
Raajaa Trilok Chaand tumko dhyaayaa, Chaupad kheli sang Mahaamaayaa.
Ek baniyaa vyaapaar ko aayaa, Nadi beech naukaa jab laayaa.
Lagaa doobne men chillaayaa, Uskaa bedaa paar lagaayaa.
Bahan aapki Jvaalaa men, Chintaapoorni bhi harshaai.
Chaamundaa se prem tumhaaraa, Sachchaa men teraa dwaaraa.
Kalyug men shakti kahlaai, Sabne poojaa too sukhdaai.
Vajra roop dhaar dusht sanhaare, Paapi shakti dekhke haare.
Maryaadaa ki rakshaa karti, Khadg aur trishool ho dharti.
Dharma ki laaj bachaane vaali, Kahin sant ho kahin vikraali.
Andhkaar ko hatti badal, Teraa hai maan sukh kaa aanchal.
Navami ki Chet Navraatraa manu, Saanmukh tere darshan pau.
Annapoornaa tumhi bani ho, Meri maan aur pitaa tumhi ho.
Dwaare peepal bhog lagau, Anna aapse paakar khau.
Makar sankraanti jab aae, Mandir ki shobhaa bahut jaae.
Saari raat maan kaa poojan hotaa, Saare jaage, koi naa sotaa.
Jahaan chhinanh, Dhyaanu kaa pyaaraa, Tumne usko nahin visraa.
Varshaa maan jab rukkar hoti, Varshaa boond Dhyaanu man dhoti.
Kheton men hariyaali chhaati, Sabke maan ko jo harashti.
